jahan-e-dil mein sannaTa bahut hai

By tabish-mehdiNovember 22, 2020
jahan-e-dil mein sannata bahut hai
samundar aaj kal pyasa bahut hai
ye mana wo shajar sukha bahut hai
magar us mein abhi saya bahut hai


farishton mein bhi jis ke tazkire hain
wo tere shahr mein ruswa bahut hai
ba-zahir pur-sukun hai sari basti
magar andar se hangama bahut hai


use ab bhul jaana chahta hun
kabhi main ne jise chaha bahut hai
wo patthar kya kisi ke kaam aata
magar sab ne use puja bahut hai


mera ghar to ujad jaega lekin
tumhaare ghar ko bhi khatra bahut hai
mera dushman mere ashaar sun kar
na jaane aaj kyun roya bahut hai


51112 viewsghazalEnglish