jahan-e-jubba-o-dastar ki himayat kya

By bakhsh-layalpuriApril 24, 2021
jahan-e-jubba-o-dastar ki himayat kya
yazid-e-waqt hai kya aur us ki bai'at kya
munafiqana rawish aam hoti jati hai
naqab-poshi-e-ahbab ki shikayat kya


kisi bhi shakhs ko ab harf-e-haq ka pas nahin
panap raha hai yahan par darogh-e-hikmat kya
mujaviran-e-jahaalat ke baala-khanon mein
sukhan-taraazi-e-ilm-o-adab ki qimat kya


maza to jab hai ki rang-e-sukhan ho wajh-e-numud
jo ishtihaar ki muhtaj ho wo shohrat kya
mere rafiq farogh-e-junun ke aalam mein
hai chaak chaak gareban to is pe hairat kya


jo mil raha hai tumhein ghair ki inayat se
yahi hai sans to is sans ki hai qimat kya
zaban bhi ek zamin bhi hai ek rang bhi ek
to phir miyan man-o-tu ki ye ajnabiyyat kya


jhapat rahe hain sabhi sim-o-zar ke luqmon par
hawas-giri hai faqat mansab-e-wazarat kya
siyah dagh hain ye raushni ke chehre par
murid-e-jehl hai kya pesha-e-tariqat kya


azal se 'bakhsh' rah-e-pur-khatar se guzre hain
jafa-shanasi-e-ahbab ki shikayat kya
22723 viewsghazalEnglish