jahan-e-rang-o-bu mein mustaqil taKHliq-e-masti hai

jahan-e-rang-o-bu mein mustaqil takhliq-e-masti hai
chaman mein raat bhar banti hai aur din bhar barasti hai

nigah-e-ishq o chashm-e-husn do sawan ke baadal hai
ye jab milte hain dil par ek bijli si barasti hai

agar hai zindagi manzur be-soche fana ho ja
mazaq-e-ashiqi mein nisti ka nam hasti hai

yakayak phir charagh ummid ke hone lage raushan
ye subh-e-roz-e-mahshar hai ki sham-e-subh-e-hasti hai

khuda se hukm-e-tansikh-e-ajal mangenge mahshar mein
magar 'simab' ye to qissa-e-ma-baad-e-hasti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close