jahan mein koi haqiqat bhi be-hijab nahin

jahan mein koi haqiqat bhi be-hijab nahin
urus-e-marg ke munh par magar naqab nahin

talab hai husn-e-haqiqi ki fasl-e-gul bar-dosh
ye wo kitab hai jis mein khizan ka bab nahin

ishaara kun hai haqiqat ka bahr-e-be-payan
tayyunat ka hasil ba-juz habab nahin

ye aabshaar o gul o kohsar o mah-o-nujum
muzahire hain magar husn ba-naqab nahin

main be-piye teri aankhon ko badh ke chum na lun
rahin-e-minnat-e-mai masti-e-shabab nahin

fareb-e-wahm hai 'agha' ye khud-faramoshi
ba-hosh-bash nazar teri kaamyab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close