jahan sarab nahin thi wahan sarab mile
By saeeduzzamaan-abbasiNovember 15, 2020
jahan sarab nahin thi wahan sarab mile
haqiqaton ko tatola gaya to khwab mile
har ek samt se aawaz-e-bazgasht aai
is aarzu mein pukara tha kuchh jawab mile
hamein bahaar ke aasar ki tawaqqoa thi
rukh chaman pe nishanat-e-inqalab mile
kahaniyon ki kitabon mein ab milen to milen
wo khush-nazar jinhen zarron mein aaftab mile

91413 viewsghazal • English