jaise jaise KHud-nawisht-e-dostan paDhte gae
By manzar-shahabMay 2, 2021
jaise jaise khud-nawisht-e-dostan padhte gae
dushmanon ke bab mein kuchh-kuchh waraq jhute lage
khush-yaqin hun mere andar koi hai mahw-e-kalam
main faqat do hont hun jo bhi kahe wo hi kahe
kya bharosa pattharon mein dub jae aabshaar
sans mein jhakkad chale kab jism ka tuda dhahe
regzar-e-sharq mein ab jue khun hai tez-gam
wo ababilen kahan hain jin se sail-e-gham thame
halki-halki barishon ki jhaalron ki ot mein
surmagin kohsar ke kafir nazare kya hue
kaun sa rishta hamare dil ko chhuta sa laga
ye samajhna tha na mushkil garche hum anjaan the
ahd-e-adam se rahe hain dushman-e-iman 'shahab'
pur-kashish rukhsar do aur nain do jadu bhare

23559 viewsghazal • English