jalwa-e-nau-bahaar ne luT liya luTa diya

By khalid-hasan-qadiriNovember 3, 2020
jalwa-e-nau-bahaar ne lut liya luta diya
gesu-e-mushk-bar ne lut liya luta diya
bazm mein kah ke haal-e-dil un ko kya hai muzmahil
dida-e-ashk-bar ne lut liya luta diya


hae wo dil-farebiyan husn-e-nazar-fareb ki
jalwa-e-husn-e-yar ne lut liya luta diya
pursish-e-gham pe hath se daman-e-zabt chhut gaya
mehr-e-nigah-e-yar ne lut liya luta diya


un ki nazar ki kya khata dil se hua qusur-e-shauq
apne hi raaz-dar ne lut liya luta diya
hae wo chashm-e-nargis-e-jam-e-sharab-e-atishin
gardish-e-chashm-e-yar ne lut liya luta diya


aae bhi ya na aae ab mujh ko gharaz bahaar se
kaif-e-gham-e-bahaar ne lut liya luta diya
dawar-e-hashr ke huzur shikwe zaban pe ruk gae
dida-e-sharmsar ne lut liya luta diya


aah-e-jigar-khrash se nazm-e-jahan badal diya
'khalid'-e-dil-e-figar ne lut liya luta diya
53132 viewsghazalEnglish