jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein sajde chamak chamak uthe mere sar-e-niyaz mein jalwa-e-did mein teri shola-e-tur tha nihan aag si aur lag gai mere dil-e-gudaz mein shauq ne khich li mere yar ki jab naqab-e-rukh husn ki raushni hui jalwa-gah-e-majaz mein ishq ki be-hijabiyan husn ki parda-dariyan hone lagi talashiyan naz mein aur niyaz mein dil mein liya adaon ne sabr-o-qarar bhi liya lut gaya ghar bhara hua jumbish-e-chashm-e-naz mein meri nazar ke milte hi un ki nigah jhuk gai dil ko jawab mil gaya chashm-e-fusun-taraaz mein sehr wo hi kashish wo hi masti-o-be-khudi wo hi teri nazar sama gai nargis-e-nim-baz mein panw figar mein to hon dil to nahin figar-e-gham koi sanam nahin na ho dasht-e-junun-nawaz mein jalwa-e-yar dekh kar tur pe ghash hue kalim aql-o-khirad ka kaam kya mahfil-e-husn-o-naz mein kar le khuda ki bandagi 'anwar'-e-khasta-dil zara bhul na apne rab ko tu nafs ki hirs-o-az mein