jam tha khum tha subu tha majma-e-ahbab tha shaikh ka in sab mein chehra kis qadar shadab tha main ne dekha raat meri god mein mahtab tha aap hi tabir us ki den ye kaisa khwab tha qais diwana tera ai laili-e-mahmil-nashin teri surat dekhne ko kis qadar betab tha wo quli tha ya tha koi kath ka ullu murid pith par lade hue jo shaikh ka asbab tha us ne ye achchha kiya jo aqd hi padhwa liya dil muridan ke liye jab surat-e-simab tha kyun na dadhi apni karta jumbish-e-razor ki bhent khanda-zan is shakl par jab halqa-e-ahbab tha raat bhar main ne sanwari zulf-e-laila-e-ghazal sher ki aamad thi 'hashim' ya koi sailab tha