jangalon ki ye muhim hai rakht-e-jaan koi nahin sang-rezon ki girah mein kahkashan koi nahin kya khabar hai kis kinare is safar ki sham ho kashti-e-umr-e-rawan mein baadban koi nahin aashiqon ne sirf apne dukh ko samjha mo'tabar mehr sab ki aarzu hai mehrban koi nahin ek dariya par kar ke aa gaya hun us ke pas ek sahra ke siwa ab darmiyan koi nahin hasraton ki aabru tahzib-e-gham se bach gai is nafasat se jala hai dil dhuan koi nahin kat chuke hain apne mazi se sukhan ke pesha-war marsiya-go so chuke aur qissa-khwan koi nahin puchhta hai aaj un ka be-takalluf sa libas is gali mein kya jiyala naujawan koi nahin wo rahe qaid-e-zaman mein jo makin-e-am ho lamha lamha jine walon ka makan koi nahin majlison ki khak chhani to khula mujh par 'naim' aazmi sa khush-nigah o khush-bayan koi nahin
Please share if you liked this!!!