ji chahta hai falak pe jaun suraj ko ghurub se bachaun bas mera chale jo gardishon par din ko bhi na chand ko bujhaun main chhod ke sidhe raston ko bhatki hui nekiyan kamaun imkan pe is qadar yaqin hai sahraon mein bij dal aaun main shab ke musafiron ki khatir mishal na mile to ghar jalaun ashaar hain mere istiare aao tumhein aaine dikhaun yun bat ke bikhar ke rah gaya hun har shakhs mein apna aks paun aawaz jo dun kisi ke dar par andar se bhi khud nikal ke aaun ai chaaragaran-e-asr-e-hazir faulad ka dil kahan se laun har raat dua karun sahar ki har subh naya fareb khaun har jabr pe sabr kar raha hun is tarah kahin ujad na jaun rona bhi to tarz-e-guftugu hai aankhen jo ruken to lab hilaun khud ko to 'nadim' aazmaya ab mar ke khuda ko aazmaun
Please share if you liked this!!!