jis ne jaana jahan tamasha hai
By bubbles-hora-sabaOctober 28, 2020
jis ne jaana jahan tamasha hai
us ki thokar mein ye zamana hai
be-gharaz haar-jit se jo ho
zindagi us ki fatehana hai
fikr jo khud giraft mein rakkhe
us ka andaz shairana hai
garm rakhta hai jo khudi apni
be-niyazi se wo shanasa hai
do hi pal ka hai khel sara 'saba'
baad mein khak sab ko hona hai
us ki thokar mein ye zamana hai
be-gharaz haar-jit se jo ho
zindagi us ki fatehana hai
fikr jo khud giraft mein rakkhe
us ka andaz shairana hai
garm rakhta hai jo khudi apni
be-niyazi se wo shanasa hai
do hi pal ka hai khel sara 'saba'
baad mein khak sab ko hona hai
68733 viewsghazal • English