jis taraf dekho udhar ek sar-ba-sar bazar hai

By sayyed-riyaz-raheemOctober 26, 2023
jis taraf dekho udhar ek sar-ba-sar bazar hai
ghar bhi ek bazar hai aur rahguzar bazar hai
dil ki baaten kis se kije kaun sunta hai yahan
wo jo mera ham-safar hai ham-safar bazar hai


dasht se tum kyon palat kar aa gae is shahr mein
ye kabhi jo shahr tha ab sar-basar bazar hai
ek hunar ke sath rakhta hai wo aisa ek hunar
nam hai diwangi ka aur hunar bazar hai


jo gaya wo lut-luta kar hi wahan se aa gaya
sab ke sab kahte to hain ek mo'tabar bazar hai
tum use apna samajh kar us ke pichhe chal pade
tum ne kab samjha use wo rahbar bazar hai


hum wahan jate to phans jate usi ke jal mein
dur hi se laut aae dekh kar bazar hai
hum ne us se kuchh kaha tha us ne un se kuchh kaha
kya kahen is daur ka har nama-bar bazar hai


kaun samjhae unhen bazar ka hissa jo hain
zindagi ka ye safar ek mukhtasar bazar hai
aap wahshat ke liye sahra mein aae hain 'riyaz'
aap ke dil mein hai dar aur ye hi dar bazar hai


89491 viewsghazalEnglish