jite ji tak shama par jaisa kare parwana raqs dekh tuj ko wohin karta hai tera diwana raqs dair par se gar guzar hoe sanam to kya ajab barhaman to kya karen sab sahab-e-but-khana raqs 'imtiyaz' us husn par ho waise zohra mushtari mahfil-e-aflak par kartin hain be-tabana raqs mai-kashi karne agar jawe to mina jam-o-khum mughbacha kya aur fughan mil kar kare mai-khana raqs sab janawar aa khushi mein tu agar chahe shikar ta ba-had kawi zamin tak hi kare jaanana raqs mehr-o-mah aur anjum hi sare ye sab aflak ke yak-ba-yak apna apna dikhawen ban ke sab mastana raqs sair ka kar qasd gar jawe chaman mein tu sanam har kali mina ho har ghuncha kare paimana raqs