jitna suljhaun main utni hi ulajh jati hai
By vinod-kumar-tripathi-basharNovember 24, 2020
jitna suljhaun main utni hi ulajh jati hai
zindagi kaise marahil pe mujhe lati hai
mujh ko jine ki hawas hai kabhi marne ka junun
zindagi meri shab-o-roz phisal jati hai
khub rishta hai kabhi pas kabhi dur hai wo
zindagi apni hai par ghair nazar aati hai
raste band hain manzil hai na rahbar koi
zindagi bhi to usi samt chali jati hai
zindagi tujh se hai bas itni shikayat mujh ko
tu kisi ghair mein kyun itna sukun pati hai
zindagi khub hai insaf teri duniya ka
dard deti hai magar lab pe hansi lati hai

21198 viewsghazal • English