jo apna gham hai use aaina dikhaun main bas ek qatre mein dariya samet laun main teri nigah to khush-manzari pe rahti hai teri pasand ke manzar kahan se laun main jo dil ki hasrat-e-tamir hai so itni hai ki ho sake to kisi dil mein ghar banaun main main jaanta hun andheron ki zindagi kya hai bujhe charagh to dil ka diya jalaun main jo zakhm deta hai to be-asar hi deta hai khalish wo de ki jise bhul bhi na paun main