jo hasil-e-kitab tha wo bab aaine mein tha
By salma-hijabFebruary 2, 2022
jo hasil-e-kitab tha wo bab aaine mein tha
nazar ke har sawal ka jawab aaine mein tha
badan ki dhup-chhanw mein thi gard mah-o-sal ki
thi gardishon mein umr aur shabab aaine mein tha
saza ata ke darmiyan hai rabta ajib sa
gunah sab badan mein the azab aaine mein tha
nihan kisi ki fikr mein ayan kisi ke zikr se
khirad ke rang jo bhi the hisab aaine mein tha
surur-e-saz-e-zindagi fana ki qaid mein raha
baqa-e-dard ka amin rabab aaine mein tha

22312 viewsghazal • English