jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar

By seemab-akbarabadiNovember 17, 2020
jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar
haqiqat teri kya hai pahle ye pahchan paida kar
jahan jaane ko sab dushwar hi dushwar kahte hain
wahan jaane ka koi rasta aasan paida kar


haqiqat ka kahe jo haal kar aisi zaban paida
mohabbat ke sunen jo git aise kan paida kar
hudud-e-alam-e-takwin mein sab mumkin hi mumkin hai
tu na-mumkin ke jhagde mein na pada imkan paida kar


ilahi bhed tere us ne zahir kar diye sab par
kaha tha kis ne tu 'simab' ko insan paida kar
56871 viewsghazalEnglish