jo teri rah ka zarra nahin tha

By khalid-naqaashSeptember 22, 2023
jo teri rah ka zarra nahin tha
to main khud is qadar uncha nahin tha
tujhe kho kar hua hun jis qadar main
kabhi main is qadar tanha nahin tha


zamana kis liye khairaat deta
kisi sail ka main kasa nahin tha
to phir ye zahr kaisa jism-o-jaan mein
agar zakhm-e-jigar gahra nahin tha


tumhaare dard ne jaisa banaya
main is se peshtar aisa nahin tha
main kaise manzilen pata ye 'naqqash'
jahan main tha koi rasta nahin tha


20647 viewsghazalEnglish