junun hai zehn mein to hausle talash karo

junun hai zehn mein to hausle talash karo
misal-e-ab-e-rawan raste talash karo

ye iztirab ragon mein bahut zaruri hai
utho safar ke nae silsile talash karo

ye sar-zamin safar ke liye bahut kam hai
chalo ufaq pe nae marhale talash karo

jo thak gae ho ye bosida zindagi ji kar
to zindagi ke alag zawiye talash karo

jo chahte ho ki akhbar chal pade apna
to surkhiyon ke liye hadse talash karo

ye tang-zauq adibon se khush nahin honge
mushaere ke liye maskhare talash karo

khuda pe chhod do ye kal koi padhe na padhe
nai ghazal ke liye qafiye talash karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close