kab marhala-e-gham se guzarna nahin hota

By shakeel-gwaliariNovember 19, 2020
kab marhala-e-gham se guzarna nahin hota
pal-bhar ko sawari se utarna nahin hota
udne do meri khak sametoge kahan tak
yakja hi na hota jo bikharna nahin hota


chhat se kabhi utra to nazar aaya falak par
zine se kabhi us ka utarna nahin hota
duniya ka koi kaam ho aasan se aasan
hona ho to hota hai wagarna nahin hota


lata hun samajh soch ke har baat zaban par
kahta hun wahi jis se mukarna nahin hota
ek-adh koi sher kai sal mein kahta
jaldi hi mujhe kya thi jo marna nahin hota


24407 viewsghazalEnglish