kab sune zanjir mujh majruh diwane ki arz nin pahunchti kan tak us zulf ke shane ki arz garmi ahl-e-bazm se mat kar ki main hota hun dagh shama ki khidmat mein hai itni hi parwane ki arz shisha mujh dil sa na pawe aur teri aankhon sa jam le agar saqi hazaron sal maikhane ki arz dil ko viran mat karo ye hai junun ka pa-e-takht ai pari-zadon kabhu suniye bhi diwane ki arz fasl jati hai 'yaqin' aur baghban se ek yar koi karta nin hamare bagh mein jaane ki arz