kabhi hawa ne kabhi uDte pattharon ne kiya

kabhi hawa ne kabhi udte pattharon ne kiya
hamein to nashr ajab si wazahaton ne kiya

tamam manzar-e-shab dher ho gaya dil par
ye kya sitam mere qadmon ki aahaton ne kiya

har ek chiz lagi tutti si bahar ki
ki jo kiya mere andar ke manzaron ne kiya

khuli na aankh kabhi ek pal ko sahra ki
agarche shor bahut udti bastiyon ne kiya

udhar to kuchh na tha yun hi wo aate jate rahe
ajab mazaq safar se musafiron ne kiya

main apne aap se darne laga bhare ghar mein
ye mujh se kiya mere apne hi aainon ne kiya

kai tarah se ghataya badhaya sayon ko
makan makan pe yahi kaam surajon ne kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close