kahan qatre ki gham-KHwari kare hai

By waseem-barelviDecember 6, 2020
kahan qatre ki gham-khwari kare hai
samundar hai adakari kare hai
koi mane na mane us ki marzi
magar wo hukm to jari kare hai


nahin lamha bhi jis ki dastaras mein
wahi sadiyon ki tayyari kare hai
bade aadarsh hain baaton mein lekin
wo sare kaam bazari kare hai


hamari baat bhi aae to jaanen
wo baaten to bahut sari kare hai
yahi akhbar ki surkhi banega
zara sa kaam chingari kare hai


bulawa aaega chal denge hum bhi
safar ki kaun tayyari kare hai
30665 viewsghazalEnglish