kahin aisa na ho KHuda na kare

By aish-meeruthiApril 21, 2021
kahin aisa na ho khuda na kare
mujh ko tujh se koi juda na kare
meri jannat teri nigah-e-karam
mujh se phir jae ye khuda na kare


bewafai bhi ek nisbat hai
kya gila us se gar wafa na kare
randa-e-mahfil-e-sanam zahid
kya kare gar khuda khuda na kare


us ki rahmat pe gar yaqin hai 'aish'
hai khata gar koi khata na kare
94964 viewsghazalEnglish