kaisi farhat dilon pe chhai hai aap aae bahaar aai hai har-nafas par charagh hai raushan main ne ghar mein murad pai hai tere hote aur aisi majburi mere allah teri duhai hai naghma-ha-e-dil-e-shikasta par aadamiyat bhi thartharai hai kahin marta hai aap ka banda dushmanon ne khabar udai hai chum lun kyon na apni surat ko kis ke hathon ne ye banai hai dam-e-akhir 'qadir' wo aae kya khizan mein bahaar aai hai