kaisi waba-e-khauf zamin par hai in dinon har ehtiyat ghair-muassar hai in dinon tapte hue aman ke sahra hain aaj-kal sukha hua karam ka samandar hai in dinon har lahza main ghade ki taraf chakkaron mein hun har aan meri chonch mein patthar hai in dinon jao kahin niwala-e-yajuj ban raho mau'ud-e-waqt ghaar ke andar hai in dinon kis bachche ko sunaun main pariyon ki dastan ye bhuk ki chudail to ghar ghar hai in dinon is daur mein to pagalo dhanda hain qurbaten dekho mafad soch ka mehwar hai in dinon bujh kar hai fi-zamana nazar aur khush-nazar dil aur dil-fareb ujad kar hai in dinon ye shahrah-e-dil hi sirhana hai aaj-kal ye gard-e-rahgir hi bistar hai in dinon bigda hai aaftab-e-muqaddar ka munh 'zubair' sar par khayal-e-yar ki chadar hai in dinon