kakrochon makdiyon ki fasl aa kar tu bhi dekh umr-bhar dekha jo main ne wo ghadi-bhar tu bhi dekh ek musalsal be-waqufi ka amal hai zindagi mere hisse mein jo aaya wo muqaddar tu bhi dekh dusre ke tajarbe par tedhi buniyaaden na rakh bulb ko apni hatheli se pichak kar tu bhi dekh khwahishen kide-makodon ki tarah marne lagin khud-kushi ki wardaton ka ye manzar tu bhi dekh dekh andar ki ragad kitni aziyyat-nak hai tang ka bosi khalaon mein utar kar tu bhi dekh