kal chal diye tum bas puchh ke aur
By rajat-kumarMarch 9, 2021
kal chal diye tum bas puchh ke aur
aur puchhte kuchh kuchh puchhte aur
main samne tha tum samne thin
mumkin nahin hain ab fasle aur
takiya tasawwur ka khabt hai khub
jo waqt be-waqt tujh ko chhue aur
guftar-e-mubham se tang ho kar
farmae wo chashm farmaiye aur
ek mod tha khas apne safar ka
ek mod tha aur phir raste aur
main badla par kuchh na badla dar-asl
wo koi aur hi tha aur ye aur
hum to sire dhunden aage pichhe
aur khalq phailae daere aur
imkan mera khak milata hai sab ko
main sifar se kam hun ek se aur
nakaam hai lafz maani hai jhuta
main baat rakhta hun bin-kahe aur
aur puchhte kuchh kuchh puchhte aur
main samne tha tum samne thin
mumkin nahin hain ab fasle aur
takiya tasawwur ka khabt hai khub
jo waqt be-waqt tujh ko chhue aur
guftar-e-mubham se tang ho kar
farmae wo chashm farmaiye aur
ek mod tha khas apne safar ka
ek mod tha aur phir raste aur
main badla par kuchh na badla dar-asl
wo koi aur hi tha aur ye aur
hum to sire dhunden aage pichhe
aur khalq phailae daere aur
imkan mera khak milata hai sab ko
main sifar se kam hun ek se aur
nakaam hai lafz maani hai jhuta
main baat rakhta hun bin-kahe aur
15768 viewsghazal • English