kam nahin hai ranj-o-gham mein ye KHushi mere liye

kam nahin hai ranj-o-gham mein ye khushi mere liye
baadalon se jhankti hai chandni mere liye

us ki aankhon mein nami hai munh se kuchh kahta nahin
ek aziyyat ban gai hai khamushi mere liye

phir ghalat-fahmi ki chingari hawa dene lagi
us ne likkha hai ye khat hai aakhiri mere liye

raqs karti hai meri parchhain us ki yaad mein
ab to jina ho gaya hai lazmi mere liye

apne sare khwab sheron mein saja deti hun main
bais-e-taskin-e-dil hai shairi mere liye

barf ke mausam mein bhi ghar se nikalna qahr tha
jis taraf bhi main gai ek aag thi mere liye

raat andheri aur main tanha musafir ai 'saba'
kis qadar mushkil hui hai zindagi mere liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close