kamal-e-zabt ki hogi bayan tafsir kaghaz par raqam kar dunga aisi dil-nashin tahrir kaghaz par musawwir ne lahu apna nichoda hai bahut is mein takallum kar rahi hai ab teri taswir kaghaz par wo jis ne umr bhar dekha nahin hai jang ka maidan bahut khush hai bana kar wo bhi ek shamshir kaghaz par bahut mushkil hai tujh ko main zamane se chhupa paun mere ashaar karte hain teri tashhir kaghaz par abhi kitne mahazon par watan ko jang ladni hai ye leader kar rahe hain dekhiye taqrir kaghaz par sar aankhon par mere ashaar rakhte hain diwane log junun ki mil rahi hai mujh ko ye tauqir kaghaz par tasalsul jari hai sher-o-sukhan ka aaj-kal 'bismil' nazar aai hai khwabon ki mujhe tabir kaghaz par