kaun si baat teri humse uThai na gai
By meerza-jawan-bakht-jahandarNovember 6, 2020
kaun si baat teri hum se uthai na gai
par jafa-ju teri ye nit ki ladai na gai
na kaha tha ki tu qatil ho mera main maqtul
sarnawisht apni kisi hi se mitai na gai
qasd har chand kiya sikhne ka bulbul ne
waza nale ki meri us se udai na gai
dil-e-sozan ki 'jahandar' tere ta-ba-falak
kaun si aah thi jo misl-e-hawai na gai
par jafa-ju teri ye nit ki ladai na gai
na kaha tha ki tu qatil ho mera main maqtul
sarnawisht apni kisi hi se mitai na gai
qasd har chand kiya sikhne ka bulbul ne
waza nale ki meri us se udai na gai
dil-e-sozan ki 'jahandar' tere ta-ba-falak
kaun si aah thi jo misl-e-hawai na gai
95198 viewsghazal • English