KHat jalae teri taswir jala di maine
By ali-qaisarOctober 24, 2020
khat jalae teri taswir jala di main ne
aaj cigarette teri yaadon ki bujha di main ne
ud gaya hai meri aankhon ka parinda kab ka
wo jo sarsabz thi ek shakh gira di main ne
jo mujhe jaan se pyari thi bhari duniya mein
us hasin ladki ki ab yaad bhula di main ne
raat bhar jagte rahne ki mujhe aadat hai
thapki ab sine pe hasrat to sula di main ne
wo chali aai thi milne ke liye khalwat mein
apne hathon se use chae bana di main ne
main bhi ziddi tha zarurat se ziyaada 'qaisar'
us ko ek bar na pichhe se sada di main ne

48977 viewsghazal • English