KHayal-e-marg baDi shai hai zindagi ke liye
By mukhtar-hashmiNovember 9, 2020
khayal-e-marg badi shai hai zindagi ke liye
andhera jaise zaruri hai raushni ke liye
sukun ki bhik na mangenge chashm-e-lutf se hum
gada banenge na do din ki zindagi ke liye
junun ne raaz-e-haqiqat to pa liya lekin
khuda ko kho diya zauq-e-khud-agahi ke liye
baja ki rah-numa rahzan nahin lekin
musafir ab bhi taraste hain rah-rawi ke liye
jo teri chashm-e-tawajjoh pe ho gaya qurban
wo gham bhi kitna zaruri tha zindagi ke liye
ye dil ghamon se hai mamur ai khayal-e-nashat
kahan se aaengi gunjaishen khushi ke liye
sahenge gham ke liye jabr-e-zindagi lekin
nazar na gham se bachaenge zindagi ke liye
khulus-e-dil ke tajassus mein khoe hum 'mukhtar'
nazar padi bhi to dushman pe dosti ke liye

74544 viewsghazal • English