KHayal-o-KHwab ki duniya kahan hai

By saeed-qaisNovember 15, 2020
khayal-o-khwab ki duniya kahan hai
teri aankhen tera chehra kahan hai
hum apne shauq mein dube hue hain
hamare shahr mein dariya kahan hai


to sari justuju hi raegan thi
wo ek lamha rifaqat ka kahan hai
har ek tare se ja kar puchhta hun
ye suraj raat ko jata kahan hai


ye kaisa shor hai diwar-o-dar ka
hamare ghar mein wo rahta kahan hai
abhi ruswaiyan to aur hongi
abhi hum ne use socha kahan hai


agar hum ret ki diwar the to
hamare jism ka malba kahan hai
talab ke raste par aa gaya hun
batao ab mujhe jaana kahan hai


muhalle-dar sab aaram se hain
mere ham-sae ka kutta kahan hai
ye hum jo 'qais' hain bas nam ke hain
hamare sar mein wo sauda kahan hai


55212 viewsghazalEnglish