KHizr jaisa hai rahbar mujh mein

By ghani-ghayoorOctober 30, 2020
khizr jaisa hai rahbar mujh mein
mujh ko darpesh hai safar mujh mein
kashti-o-na-khuda bahut khatre
kai tufan kai bhanwar mujh mein


khun se tar-ba-tar gali-kuche
dast-e-qatil hai zor par mujh mein
koi tesha-ba-dast phirta hai
qarya qarya hai bas sharar mujh mein


jis tarah se hiran pahadon par
laut kar aata hai hunar mujh mein
74545 viewsghazalEnglish