kho gaya hai jo usko khone do

By chandni-pandeyOctober 29, 2020
kho gaya hai jo us ko khone do
phir naya khwab mujh ko bone do
bastiyon ko ujadne walo
ab madari ka khel hone do


khwahishon khwab dekhna chhodo
nind aai hai mujh ko sone do
raushnai na khatm ho jae
kaghazon ko siyah hone do


har ghadi ye khayal aata hai
zindagi ke hain sirf kone do
jhut buniyaad hi nahin rakhta
ru-ba-ru sach se sab ko hone do


aansuon se dhuli zaminon par
ab zara dhup ko bhi rone do
chand kyon jagta hai sath mere
raat ke baj rahe hain paune do


58075 viewsghazalEnglish