khone ki baat aur na pane ki baat hai

By rais-siddiquiNovember 13, 2020
khone ki baat aur na pane ki baat hai
bas zindagi ka sath nibhane ki baat hai
nafrat ki aandhiyon se na hal hoga masala
jo aag lag chuki hai bujhane ki baat hai


us ka haqiqaton se nahin koi wasta
sach baat ab to sirf fasane ki baat
tum muskura bhi sakte nahin kya mere liye
ye to kisi ke kaam na aane ki baat hai


hum ne khayal mein bhi na rakkhi kabhi 'rais'
wo baat jo kisi ko satane ki baat hai
93279 viewsghazalEnglish