khoya hua hai aadmi husn-o-jamal mein

khoya hua hai aadmi husn-o-jamal mein
kya kya latafaten hain rukh-e-be-misal mein

us ke khayal hi mein guzar jae zindagi
behtar hai ye khayal bhi mere khayal mein

karte hain kitne log mohabbat zamir se
hai zarb la-jawab kisi ke sawal mein

billi ne rasta kat ke elan kar diya
ab tak phanse hain log sitaron ke jal mein

lafzon ke her-pher se bazi palat gai
har shakhs aa gaya hai siyasat ki chaal mein

'sarwat' guzar raha hai wahi dekh lijiye
jo kuchh hua tha guzre hue mah-o-sal mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close