KHud hi ye dard-e-sar qubul kiya

By om-krishn-rahatJune 17, 2022
khud hi ye dard-e-sar qubul kiya
har azab-e-safar qubul kiya
kaun hai jis ki khoj mein hum ne
ghumna dar-ba-dar qubul kiya


na to main hi kahun na dil mera
kis ne kis ka asar qubul kiya
ghumna kucha-e-malamat mein
hum ne kya soch kar qubul kiya


hum ne do din ki zindagi ke liye
kitna lamba safar qubul kiya
mani-e-zist hi badal denge
hum ne jina agar qubul kiya


did ki chah mein in aankhon ne
har fareb-e-nazar qubul kiya
is ibaadat ke farz ko 'rahat'
man nahin tha magar qubul kiya


27639 viewsghazalEnglish