KHwab aur haqiqat ki taswir nazar aai

By talib-chakwaliNovember 23, 2020
khwab aur haqiqat ki taswir nazar aai
tadbir inan-gir-e-taqdir nazar aai
aafat-e-musalsal mein ek rabt nazar aaya
haalat-e-digar-gun mein zanjir nazar aai


jo apne naqais the wo husn nazar aae
auron mein jo khubi thi taqsir nazar aai
raazi-ba-raza ho kar dekha to musibat bhi
gul-ha-e-shagufta ki zanjir nazar aai


yaadon ke jharoke se dekha to mujhe 'talib'
ayyam-e-bahaaran ki taswir nazar aai
85752 viewsghazalEnglish