KHwab ka izn tha tabir-e-ijazat thi mujhe

khwab ka izn tha tabir-e-ijazat thi mujhe
wo samay aisa tha marne mein suhulat thi mujhe

ek be-barg shajar dhund mein lipta hua tha
shakh par baithi duaon ki zarurat thi mujhe

raat masjid mein andhera to bahut tha lekin
yaad bhuli si koi rah-e-ibaadat thi mujhe

ai meri jaan wahi 'ghaalib' ki si haalat thi meri
tere jaane ki ghadi thi ki qayamat thi mujhe

dastan-go ne dikha di thi mujhe shahzadi
aur phir khwab mein chalne ki bhi aadat thi mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close