khwabon ki baat aankhon se tali nahin gai ek shab bhi meri kham-khayali nahin gai us ka hi sath mujh ko mayassar nahin hua yun to meri dua kabhi khali nahin gai mujh se bichhad ke wo bhi akela raha magar chhoti si baat dil se nikali nahin gai sath apne meri nind bhi le kar chala gaya jab se gaya wo aankh ki lali nahin gai us ne bhi saf-goi se daman chhuda liya khush-fahmi apne dil se bhi pali nahin gai yun us ki aadaton mein taghaful shumar tha rishton ki bag-dor sambhaali nahin gai 'alka' wo jis ne phunk diya mera aashiyan yaadon se umr-bhar wo diwali nahin gai