KHwahish-e-taKHt-o-taj aur hai kuchh

khwahish-e-takht-o-taj aur hai kuchh
lekin apna mizaj aur hai kuchh

kya bharosa badalte mausam ka
rang kal kuchh tha aaj aur hai kuchh

pasdari yahan nahin chalti
is nagar ka riwaj aur hai kuchh

khush na ho hum jo ho gae khamosh
surat-e-ehtijaj aur hai kuchh

kaam chalta nahin hai marham se
zakhm-e-dil ka ilaj aur hai kuchh

sochna aur udas ho jaana
haal hi dil ka aaj aur hai kuchh

ek zamana tha ham-mizaj the hum
ab to us ka mizaj aur hai kuchh

sher kahna hai ek fan 'mohsin'
daftari kaam-kaj aur hai kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close