kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah

By shaikh-zahuruddin-hatimNovember 18, 2020
kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah
kis ke tiron se dil-afgar hun allah allah
us ke hathon se na jita hun na marta hun main
kis musibat mein giraftar hun allah allah


khizr ab dur kar aage se mere aab-e-hayat
kis ke bose ka talabgar hun allah allah
kyun na aankhon mein rakhe mujh ko zulekha bhi aziz
kaise yusuf ka kharidar hun allah allah


namak-e-husn se us lab ke maze lutun hun
kis namak-dan ka namak-khwar hun allah allah
nargis ab hum se na kar dawa-e-ham-chashmi tu
kis ki nargis ka main bimar hun allah allah


itna kahta bhi nahin kaun ye chillata hai
kab se nalan pas-e-diwar hun allah allah
khwab mein yar ne aa mujh ko jagaya 'hatim'
kis qadar tale-e-bedar hun allah allah


89011 viewsghazalEnglish