kisi goshe mein duniya ke makin hote hue bhi

kisi goshe mein duniya ke makin hote hue bhi
wo mere sath rahta hai nahin hote hue bhi

musalsal aazmaish mein mujhe zalim ne rakkha
kiya main ne nahin sajda jabin hote hue bhi

musalsal marte rahte hain shab-khun zehn-o-dil par
azizan raftagan zer-e-zamin hote hue bhi

guzari hum ne sari zindagi ishq-e-butan mein
mukammal us ki wahdat par yaqin hote hue bhi

liye phirta hai qatil hath mein khanjar barahna
muhayya pairahan mein aastin hote hue bhi

main zarra khak ka hun wo sitara aasman ka
wo mujh se dur hai mere qarin hote hue bhi

na-jaane kaun si mitti ka 'abid' bhi bana hai
hamesha khush nazar aaya hazin hote hue bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close