kisi ka nam jo leta hun aah karta hun

kisi ka nam jo leta hun aah karta hun
tamam raat yahi ek gunah karta hun

nigah-e-barq ka ehsan kab gawara hai
main khud hi apna nasheman tabah karta hun

ye rabt-e-shoala-o-shabnam nahin to phir kya hai
main ashk-e-gham ki tabassum ki chah karta hun

tu mai-kashi se mujhe rokta hai kyon zahid
main imtiyaz-e-safed-o-siyah karta hun

dikhai deta hai dhundla sa hasraton ka mazar
main ahd-e-rafta pe jab bhi nigah karta hun

tumhaare husn ki daulat se bhik le le kar
dil-e-faqir ko main baadshah karta hun

kisi ke lutf ka hamil nahin mazaq 'hayat'
isi liye main sitam se nibah karta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close