kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun

By munawar-khan-ghafilNovember 9, 2020
kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun
phate kapdon ko apni khilat-e-diba samajhta hun
jahan diwana koi apne sae se ulajhta hai
use zulf-e-musalsal ka teri sauda samajhta hun


main go majnun hun par matlab nahin kuchh koh-o-sahra se
sawad-e-shahr hi ko khema-e-laila samajhta hun
hazaron bagh-e-duniya mein tamashe main ne dekhe hain
do-rangi ko zamane ki gul-e-rana samajhta hun


nahin mai-khana-e-alam mein mujh sa mast-o-be-khud hai
ki shor-e-hashr ko bhi qulqul-e-mina samajhta hun
ata ki hai khuda ne chashm-e-wahdat-e-bin mujhe jaise
jise qatra samajhta tha use dariya samajhta hun


hamein rah rah ke yaad aata hai hangam-e-itab us ka
dikha kar aankh kahna rah to ja kaisa samajhta hun
khat-e-mushkin ko raihan jaanta hun bagh-e-alam mein
teri chashm-e-siyah ko nargis-e-shahla samajhta hun


barabar ghair ke bhi martaba mera nahin afsos
agarche aap kahte hain tujhe apna samajhta hun
maqam-e-imtihan mein dekh lena ek din sahab
raqib-e-ru-siyah thahrega kya itna samajhta hun


numud itni kahan thi shaeri mein meri ai 'ghafil'
mein is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goya' samajhta hun
52208 viewsghazalEnglish