kisi ke samne izhaar-e-dard-e-jaan na karun

kisi ke samne izhaar-e-dard-e-jaan na karun
udhar udhar ki kahun zakhm-e-dil ayan na karun

laga ke aag badan mein wo mujh se chahta hai
ki sans lun to faza ko dhuan dhuan na karun

main us ko padhta hun injil-e-arzu ki tarah
samajh mein aae to mani har ek bayan na karun

ghazab hai mujh se tawaqqo zamana rakhta hai
ki pa-shikastagi mein ranj-e-raftagan na karun

ye hukm mujh ko mila qasr-e-khusrawi se ki main
fughan sunun magar andaza-e-fughan na karun

maze se soun agar hath aae sham-e-firaq
main ek lamha bhi is shab ka raegan na karun

utha ke sar pe phirun bar-e-arzu 'mohsin'
kamar ko kham main kabhi surat-e-kaman na karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close