kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati ki mahfil mein bhi rah kar meri tanhai nahin jati juda sab se wo hote hain mohabbat jin ko hoti hai ye har insan ke dil mein kabhi pai nahin jati ghamon ko bant len ek din chale aao qarar aae tabiat apni tanha hum se bahlai nahin jati khuda se rabt hai jin ka mohabbat kaam hai un ka sifat us ki siyah-karon mein to pai nahin jati 'ana' meri zarurat wo 'ana' meri mohabbat wo ba-juz is ke meri jaan mein to jaan pai nahin jati